Imam Ali a.s ki ak Wasiyat

. *IMAM ALI (as) KI EK WASIYYAT*

Riwayat:
Jis waqt Ibne Muljim (La'natullahi Alaiha) ne Imam Ali (as) ke sar par zarb lagaayi to aap (as) ne Imam Hasan (as) aur Imam Husain (as) se ye Wasiyyat ki,
*"Main tumhe Taqwa e Khuda ki Wasiyyat karta hoo'n aur jo kuchh duniya tum par sadma waarid kare, tawajjoh na karna aur jo kuchh tumhare haath se nikal gaya hai uspar gham na karna.*
_Haq bayaan karna aur ajr ke liye kaam karna._
*Zaalim ke dushman aur mazloom ke madadgaar  rehna.*
_Main tum dono aur tamaam beto'n aur apne khandaan ko aur_
*_jiske haath mein mera wasiyyat-nama pahu'nche, wasiyyat karta hoo'n_*
_ke Allah se darte rehna, apne muamelaat durust aur aapas ke taallukaat suljhaaye rakhna_
kyun ki main ne tumhare nana Rasule Khuda (saww) ko farmate suna hai ke,
*'Aapas ki kashidgiyo'n (tension) ko mittana aam Namaz, Roze se afzal hai'.*
_(Dekho!) Yateemo'n ke baare mein darte rehna. Unke kaam o dehen ke liye faaqe ki naubat na aaye aur tumhari maujudgi mein wo tabaah o barbaad na ho jaaye._
*_Apne padosiyo'n ke baare mein Allah se darte rehna kyun ki unke baare mein tumhare Paigambar (saww) ne barabar hidaayat ki hai aur aap is hadd tak unke liye sifaarish farmate rahe ke hum logo'n ko ye gumaan hone laga ke aap unhe bhi wirsa dilayenge._*
_Quran ke baare mein Allah se darte rehna, aisa na ho ke doosre uspar amal karne mein tum par sabqat (lead / badhhat) le jaayein._
*Namaz ke baare mein Allah se darna kyun ki wo tumhare Deen ka sutoon hai.*
_Apne Parwardigaar ke ghar ke baare mein Allah se darna, usay jeete-ji khaali na chhorna, kyun ki agar ye khaali chhor diya gaya to phir (azaab se) mohlat na paaoge._
*Jaan, maal aur zabaan se Raah e Khuda mein Jihad karne ke baare mein Allah ko na bhoolna.*
_Aur tum ko laazim hai ke aapas mein mel-milaap rakhna aur ek doosre ki e'aanat (support) karna._
*_Aur khabardaar! Ek doosre ki taraf se peethh pherne aur taalluqaat toddne se parhez karna._*
_Neki ka hukm dene aur buraayi se manaa karne se kabhi haath na uthhana warna bad-kaar tum par musallat ho jayenge, phir Dua maango'ge to qubool na hogi"._
*_Phir irshaad farmaya, "Aye Abdul Muttalib ke beto! Aisa na hone paaye ke tum 'Ameerul Momeneen qatl ho gaye, Ameerul Momeneen qatl ho gaye' ke naare lagaate huwe musalmaano'n ke khoon se holi khelna shuru kar do._*
_Dekho! Mere badle mein sirf mera qaatil hi qatl kiya jaaye._
*_Aur dekho! Jab main oos zarb se mar jaau'n to oos ek zarb ke badle mein ek hi zarb lagana aur oos shakhs ke haath payr na kaattna,_*
_kyun ki maine Rasule Khuda (saww) ko farmaate suna  hai ke, 'Khabardaar! Kisi ke haath payr na kaatto, chaahe wo baawla kutta hi ho'"._
_(Maula Ali (as) Ki Shaan Mein 1000 Ahadees, p566)_

Comments

Popular Posts