Mola Ali a.s
. Moula Ali Alayhissalam Ke Daur Me Kufa Me Ek Shakhs 4 Ajeeb O Gareeb Bate Kahta Phirta Tha
1) Mai Allah Ki Rahmat Se Bhagta Hu
2) Mai Baghair Zibah Kiya Huwa Gosht Khata Hun
3) Mai Baghair Dekhe Gawahi Deta Hun
4) Mai Fitno Ko Pasand Karta Hun
Log Uski Ye Bate Sunkar Use Kehte-
Are Kyo Tum Kufr Ke Raste Pr Chal Pade Ho
Kyo Apna Imaan Gawa'n Rahe Ho
Touba Karo Warna Barbaad Ho Jaoge
Us Shakhs Ne Kaha Mai Kyo Touba Kru
Mai To Sach Bayaan Kar Rha Hun
Aur Mai imaan Me Hi Hun.
Log Tang Aakar
Moula e Kaynat Imam Ali Alayhissalam
Ke Pass Aaye
Aur Pura Mamla Bataya
Jawab Me Moula Ali Ne Farmaya Wo Sach Hi To Keh Raha Hai
Aur Wo Imaan Me Hi Hai.
Log Aur Parishan Hue Aur Arz Kiya Moula
Aap Keh Rahe Hai'n
To Koi Baat Zaroor Hogi Zara Hum Kam Aqlon Ko Bhi Aap Samjhaye
Moula Ne Farmaya Theek Hai
Uske Sawalaat Bolo Logo Ne Arz Kiya
SAWAL(1)
Mai Allah Ki Rehmat Se Bhagta Hun
Moula Ne Jawab diya--
Jab Barish Hoti Hai To Wo Bhagta Hai
Kya Tum Log Nahi Bhagte....
Log Ek Dusre Ka Muh Dekhne Lage
Sawal 2)
Mai Baghair Zabah Kiya Huwa Ghosht Khata Hun?
Moula Ne Jawaab diya-
Woh Machli khata Hai
Kya Tum Nahi Khate Ho
Log Hairaan Ho Gaye
Sawal 3)
Mai Baghair Dekhe Gawahi Deta Hun
Moula Ne Jawab Diya- Usne Allah Ko Kahan Dekha Hai
Kya Tum Ne Allah Ko Dekha Hai?
Kya Tum Gawahi Nahi Dete
Log Aur Hairtzda Ho Gye.
Sawal 4)
Mai Fitno Ko Pasand Karta Hun?
Moua Ne Jawab Diya- Wo Apne Maal Aur Aulaad Ko Pasand Karta Hai
Kya Tum Aisa Nahi Karte
Bhool Gaye Ho Kya Maal Aur Aulaad Fitna Hain
Logo Ke Hosh Ud Gaye Aur Arz Kiya
Maula Aap Waqyi Babul ilm Hai'n....
Comments
Post a Comment