Mola Ali a.s

. بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Salam!!

"AS SALAAM-O-ALYKA YA AMEER-AL-MOMINEEN ALI IBNE ABU TALIB(AS)".

"Qat Qutilal Ameer-Al-Momineen Ali ibne Abu Talib(as)".

➡Naam: ALI(AS).

➡Walid: Abu Talib Ibne Abd-Al-Mutallib(AS).

➡Walidah: Fathima Binte Asad(SA).

➡Kuniyath: Abul Hassan, Abu-Al-Aimma, Abu-Al-Sibtayn, Abu-Al-Rayhanatayn.

➡Alqaab: Ameer-Al-Momineen, Al Murtuza, Abu Turab, Asadullah, Hyder, Bab-e-Madinatul-Ilm.

➡Zauja'at:
>Fathima Zehra(SA) Binte Rasool-e-Khuda(SAW)
>Umm-ul-Banin
>Umamah Binte Zainab
>Laila Binte Masoud
>Asma Binte Umays
>Khwalah Binte ja'far
>Al Sahba Binte Rabi'ah.

↪(Wazeh rahay ke Jab tak Bibi Fathima Zehra(SA) Zinda thi uss waqth tak Imam Ali(as) ne koi dusri Shaadi nahi ki thi).

➡Aulaad:
Sheikh-Al-Mufid(RA) ke mutabiq Aap(as) ke kull 27 Bacchay thay Baytay aur Baytiya'n mila ker,
Unn mai se;
>Imam Hassan Ibne Ali(As)
>Imam Hussain Ibne Ali(As)
>Mohsin Ibne Ali(As)
>Bibi Zainab-al-Kubra Binte Ali(As)
>Bibi Zainab-al-Sugra(Umme Kusloom) Binte Ali(as)
>Hazrath-e-Abbas(As) Ibne Ali(as)
>Hazrath-e-Mohammed-e-Hanfiya(As) Ibne Ali(As).

➡Baradaran-e-Imam-e-Ali(as): Jaffar, Aqil, Talib.

➡Wiladath: 13 Rajab 23BH, 11 October 599CE.

➡Maqaam-e-Wiladath: Khana-e-KABA.

➡Shahadath: 21 Ramzan 40AH, 31 January 661.(aged 61).

➡Maqaam-e-Shahadath: Masjid-e-Kufa.

➡Shahadath Ki Wajah:
Abdur Rahman Ibne Muljim(LA) ne (19 Ramzan) Namaz-e-Fajr ke dauraan Jab Moula Ali(AS) Sajday ki Halath main thay tab uss ne Zehr Aludah Talwar se Moula Ali(AS) ke Sarr-e-Mubarak par Zarbath lagayi, Jiss se Aap(AS) ka Sarr Shigafta hua, Zehr ka Asar itna tha ke Aap(AS) 21 Ramazan ku Jaam-e-Shahadath Nosh farmaye.

➡Madfan: Najaf-Al-Ashraf(Iraq).

➡Imamath: 28 Safar, 11/May 28, 632.

➡Imamath Ka Arsa: 29 Saal.

➡Imam-e-Ali-e-Murtuza(as) ki Qadr-o-Manzilath:

>Imam Ali(as) ki Azmath-o-Martabay ku Samajh ne ke liye yahi kafi hai ke Aap(as) ki Wiladath Allah ke Ghar mai, Aap(as) ki Shahadath Allah ke Ghar mai, Aap(as) ki Shahadath Khuda Ke Mahinay mai, Aap(as) ki Zindagi ka Aaqri waqth Zikr-e-Parwardigar mai, Aap(as) ka Aaqri Kalaam "FUZTO BAY RABBIL KABA" (Rabb-e-KABA ki Qasam Mai Aaj Kamiyab hua) itna Baland-o-Aala Martaba Moula-e-Kayenat Ameer-al-Momineen(as) ka hai, Hamari Naqis Aql-e-Mehdood hain laykin Hamaray Imam(as) ki Azmath-o-Fazilath La Mehdood hai.

"Ya Allah jab hum iss dunya se uthay tuo uss waqth tera Zikr hamari Zubaan par ho, aur hamaray dil mai Teri mohabbath-o-Ita'at ho,
Aur Ahlebaith(as) ki Mohabbath aur Moula Ali(as) ki mohabbath-o-Wilayath ke sath humye iss dunya se utha.
Ameen!!

"Allah Humma La'ann Qatalatal Ameer-Al-Momineen Ali ibne Abu Talib".

Comments

Popular Posts