Mola Ali a.s
Ubalta hai samandar khoon ka Allah k ghar se
Ali zakhmi huwe hain aaj shamsheere sitamgar se
Ali be'kali par zindagi aansu bahati hai
Sada -e- alferaq aati hai har ek taare biistar se
Pareshan surq chehra sard hai aur surq hai aankhe'n
Yateemi kya hai poocho aaj Abbas-e-dilavar se
Dil-e-Islam se huk ut'thi hai imaan rota hai
Musaley par jo bheta hai namazi ka lahoo sar se
Dil'e Ummul bani ko bewagi ka gham utahna hai
Suhaagan zindagi khoon ro rahi hai deedaye tar se
Tadap ay fitrat'e islam Moula jaane wale hain
Payaame irjaee aane ko hai Allah ke ghar se
Suni hai jis k kaano ne hadis'e raas karasi
Wo pooche gham ali ki mout ka khabr'e payambar se
Janaza kule Imaan ka 'Ali fitrat' jab uthega
Na jaane haal kya Zainab ka hoga gham k khanjar se .
Comments
Post a Comment